Thursday, December 27, 2012

225. Ae deewane

 ae deewane,
 aise kyun khoya-khoya rahta hai
 kaisi khwahishein piroya karta hai

 jo tha jahaan, wahaan ab to nahin hai
 wo hai wahaan, jahaan ab tu nahin hai

 to kya hua

 nazaren uthake dekh mujhe
 sar apne aasmaan aaj bhi wahi hai

--
 
 yaadon ke siyaah roohon ka
 shab-o-roz, peecha karta hai kyun
 dareechon pe khade hawaaon se
 aise rang-o-boo poncha karta hai

 ajnabi aainon se apna pata
 apna naam poocha karta hai kyun
 akhbaaron me, tasveeron me
 apna aashiyaan khoja karta hai

 haan, 
 lafz alag hain, lahje alag se
 kaafile badal gaye, mehfilen alag hain
 
 chaah alag hain, chehre alag se
 karwaan badal gaye, manzilen alag hain

 to kya hua

 jo tha jahaan, wahaan ab to nahin hai
 wo hai wahaan, jahaan ab tu nahin hai

 par nazarein uthake dekh mujhe
 sar apne aasmaan aaj bhi wahi hai

No comments: