Zoya
raat ke do baje hain
mujhe pata hai
aaj bhi
tum bedaar si baithi hogi
apne kooche
tumhare deewaron pe
shaayad
tumne sureela sa koi nagma
taanga hoga
jise tum apni ungliyon pe lapetkar
gungunaati hogi
yaa phir kisi kitaab ke kaagazon me
betaab se atke lafzon pe
sukoon chidakti hogi
tum apni aankhon se
yaa phir shaayad
tum apne baraamde me khadi hogi
kohre se muqaabla karti hui
(agar wo dheet hai
to tum kuch kam ziddi nahin)
tumhaare ird-gird
kuch surkh se khayaal
sulagte honge
thode khayaal
tum
dhue me udaati hogi
unme jaan phoonk-ke
aur thode khayaal
bujhaati hogi
apni edhi ke neeche
Zoya
raat ke do baje hain
aur mera kissa kuch alag nahin
mere yahaan
neend bahut padi rahti hai aaj-kal
jo kharch hoti nahin mujhse
main
besukoon sa
koshish to karta rahta hoon
chutki chutki ise soonghta hoon
par ye nikammi to khatm hi nahin hoti
chalo
aaj kyon na
ham ek sauda kare
main
tumhare ghar
neend ki teen-chaar boriyaan
bhijwa deta hoon
aur tum
mujhe
bas apni aankhon me padi
sukoon ki ek-aadh pudiya baandh-kar
bhijwa dena
tum bhi khush
aur main bhi
kya kahti ho -
theek hai na?!
raat ke do baje hain
mujhe pata hai
aaj bhi
tum bedaar si baithi hogi
apne kooche
tumhare deewaron pe
shaayad
tumne sureela sa koi nagma
taanga hoga
jise tum apni ungliyon pe lapetkar
gungunaati hogi
yaa phir kisi kitaab ke kaagazon me
betaab se atke lafzon pe
sukoon chidakti hogi
tum apni aankhon se
yaa phir shaayad
tum apne baraamde me khadi hogi
kohre se muqaabla karti hui
(agar wo dheet hai
to tum kuch kam ziddi nahin)
tumhaare ird-gird
kuch surkh se khayaal
sulagte honge
thode khayaal
tum
dhue me udaati hogi
unme jaan phoonk-ke
aur thode khayaal
bujhaati hogi
apni edhi ke neeche
Zoya
raat ke do baje hain
aur mera kissa kuch alag nahin
mere yahaan
neend bahut padi rahti hai aaj-kal
jo kharch hoti nahin mujhse
main
besukoon sa
koshish to karta rahta hoon
chutki chutki ise soonghta hoon
par ye nikammi to khatm hi nahin hoti
chalo
aaj kyon na
ham ek sauda kare
main
tumhare ghar
neend ki teen-chaar boriyaan
bhijwa deta hoon
aur tum
mujhe
bas apni aankhon me padi
sukoon ki ek-aadh pudiya baandh-kar
bhijwa dena
tum bhi khush
aur main bhi
kya kahti ho -
theek hai na?!
1 comment:
it's being 5 yrs i reading ur poems and i must say all of them r beauty
some time they makes me cry sometimes i fall in love and sometimes both conditions co-exits.
i don't know who ur but i can say one thing it's ur love that inspires u keep it up and thanks.
Post a Comment