justajoo me jis sukoon ke
har pahar main dar-badar gaya
masroof tha jab talaash me
paas hoke bas wo guzar gaya
****
dareeche khule to hain bahut
darwaaze saare band hain
kaisa jahaan hai ke har koi
apne hi aks pe shaq kar gaya
****
bas pal do pal ki fursaten
bematlab unki numaaishen
thodi zindagi ki aarzoo liye
ek arsa yun hi guzar gaya
****
sabhi ke pados me dard hai
dekhta to hai use har koi
magar nazar to aata nahin
tha kaun wo ab jo mar gaya
charche bahut hain, ummeed bhi
yun kitne pahar hue shaheed bhi
din bujha to sab kuch bhool ke
har koi apne apne ghar gaya
****
kahin ranjishen kahin raunaken
har kisika fasaana ek sa
yun hi dhadkanen tez ho uthi
phir yun hi dil ye thahar gaya
***
ae ajanabee se aasamaan
tera ham-shaql jo tha kal yahaan
meri muhabbaton ka gawaah tha
bata zara woh kidhar gaya
----
Coherence is over-rated, like I always maintain.
No comments:
Post a Comment