Wednesday, November 19, 2014

239. Satrangi Rooh



andhi rasm kya tolegi
dard apna dard apna
bandi jism kya bolegi
dard apna dard apna

---

ye dard apna kam dard nahin
bas jo ye jahaan hamdard nahin

---

sadiyon me maayne bah to gaye
kanoon-o-kayde rah jo gaye
ik ishq ko jashn kaha sabne
dooji ishq pe jang kiya sabne

haan, mere dil ke mausam hain juda
par meri nazar me - tere bhi alag
mere mausam ko gunaah na kaho
bas jo yun tere mausam zard nahin

---

bas teri sahi muhabbat kyun hai
aur mera ishq galat kyun hai
jab apnon me razaamandi hai
to dilon pe kyun paabandi hai

haan, hai uski ek maashooqa
aur ek deewana shauhar mera bhi hai
par kuch aurat to kam woh nahin
aur haan, main kuch kam mard nahin

---

meri hasrat gard nahin
aur mere gam sard nahin
ye dard mera kam dard nahin
bas tu jo mera hamdard nahin

---

seene me qaid hai rang kai
satrangi roohon ke patang kai
kabhi to aisa bhi hoga
ummeed pe duniya kaayam hai

rooh ye udke kholengi
bekhauff hansi me gholengi
dard mera dard tera

chaunk-ke nazrein tolengi
cheekh-ke nazmein bolengi
dard mera dard tera

---

Feeling a tad vehement tonight!
And yeah, the deewana shauhar part is true too! :)

and most importantly - yes, hame chahiye azaadi!!

No comments: