Saturday, November 22, 2014

241. Ek safar aur?!

baatein banaake aankhen milaake
badle mere daastaan ke ilaake

mere huzoor
munaasib nahin
mere huzoor
munaasib nahin

dekar kiraaye khaabon ke saaye
ghar me paraaye mausam basaaye

mere huzoor
munaasib nahin
mere huzoor
munaasib nahin

----

anjaan shahron ke
anjaan lahron me
hamko abhi bahna nahin

anjaan pahron me
anjaan chehron ko
hamne kabhi pahna nahin

dar-darke jhaankte hain
dar dar pe chaunkte hain

mere huzoor
munaasib nahin
mere huzoor
munaasib nahin

----

sard aasamaanon ka
dard aazamaao to
mausam alag se lagne lage

zard aashiyaanon me
'gar aaj maano to
ham bhi zara sulagne lage

sab phir se seekhte hain
uth-girke dekhte hain

maana ye safar
munaasib nahin
jo ham saath ho
buraa bhi nahin
----
alag maayne hain, alag kaayde hain
alag daayre hain, alag zaayke hain

ye aasaan safar
zaraa bhi nahin

par ham saath hain to
buraa bhi nahin

---
a lot of filmy lately!! :) :) here to stay!

No comments: