Wednesday, November 19, 2014

240. Chand roza ishq

udte hue aaya tha, mudke wahin jaaoonga
jhadne lagengi jab saari khushfahmiyaan

udte hue aaya tha, mudke wahin jaaoonga
badhne lagengi hadh se jab berahamiyaan

mere
lautne se pehle, saath mere rah le

saanson me bachi-kuchi si jo ho sukoon to,
noch lenge

khaabon me bichi hui mile mausiqi jo,
naach lenge

---

har kism ka ishq gunaah hai yahaan
bevajah nazrein uthti rahti hain

ik jism ne ishq chhuaa jo yahaan
phir subah khabrein udti rahti hain

ajnabi se rasmon ke
ajnabi se naqshe hain
aankhein moonde rakhna hi sahi tha

bulbulon se lamhon me
bulbulon se ishq hain
inme rab ko basaana hi nahin tha

aankhein khul gayi
ham gumshuda se ho gaye

bulbule bujh gaye
ham bekhuda se ho gaye

---
udte hue aana tum, mudke wahin jaana tum
jhadne lagengi jab saari dilchaspiyaan

udte hue aana tum, mudke wahin jaana tum
badhne lagengi hadh se jab badmastiyaan

tere
lautne se pehle, saath mere rah le

seene me bujhi bujhi si jo ho roshni to
baant lenge

seene me daba rakhi kisine aashiqui to
daant denge

par haan,
ik pal ke mehboob,
is pal ke mehboob,
bhoole bina
kabhi na kabhi
udte hue aana tum! 

No comments: