Tuesday, May 08, 2007

Bematlab...yahaan kuch to hua hoga!

kuch khaab jale honge
bas khaak nazar me hai
yahaan kuch to hua hoga
har taraf dhuaan sa hai


masoom si aahat bhi
mahfoos nahin hain yahaan
mahroom si kismat hai
mayoos si baithi hai

kis kooche me utrega
uski marzi to na thi
yeh naam-o-shaql uska
kisi raat ka purza hai

iski khataa kya hai
jo maut ke tohfe mile-
bas naam liya rab ka?
tera khudaa kya hai??

bekas si yeh berahami
bevajah kyun pahne ho?
nafrat to viraasat me
har shaqs ko milti hai

zindagi meri, meri nahin
teri jaan bhi teri nahin
tu qabr banaaye meri
kal tera janaaza hai

----------------------------------
We inherit so many prejudices.
Did we ever stop to think if they are worth while?
Are they?

3 comments:

Anonymous said...

the poet is unworthy of this poem..

Numb Assembly said...

Nice

Saswat said...

u love some one....

dearly.....
i can say dat