Chaand utaar do
chaand ko maar do
is ziddi se kaafir ki
sadiyon se ek si aadat hai
ab to marna hi ibaadat hai
isko marne ki ijaazat do
yaa to ab kuch aur chadha do
yaa to ab aasmaan hi uda do
baandh-ke kheencho zor lagake
chaand hata do, chaand chuda do
--------------------------------------
roz uth-uthke gira karta hai
yeh kat kat-ke mara karta hain
bas ek din marne ki nautanki
phir badh badh-ke bhara karta hai
routine to bahut hi pheeka hai
kitna boring kaheen-ka hai
mere kamre me jhaankta rahta hai
batao, yeh bhi kya saliiqa hai?
yaa to ab kuch aur chadha do
yaa to ab aasmaan hi uda do
baandh-ke kheencho zor lagake
chaand hata do, chaand chuda do
---------------------------------------
har shab chaand ke chulhe pe
gud-neem se sapne pakte hain
apna pakaya yeh chakhta hi nahin
na ham kabhi inko parakhte hain
har roz chulhe se paala pada
jal jalke chaand pe chaala pada
kabhi chulha jalaake bhula de ye
to chehra poora hi kaala pada
yaa to ab kuch aur chadha do
yaa to ab aasmaan hi uda do
baandh-ke kheencho zor lagake
chaand hata do, chaand chuda do
Chaand utaar do
Chaand ko maar do
---------------------------------------
No comments:
Post a Comment