Friday, August 31, 2007

Raat bhi lambi laage!

ek khaab ke kone me ek syaah si raat mili
woh raat jo teri gali me utarke guzarti hai
kabhi raat ke peeche main bhi tahalne jo nikla karoon
woh lekar chalti hai kisi anjaan se saahil pe

geeli si mitti pe pairon ke nishaan tale
kuch narm si naazuk si khwahishein kinaaron pe

har din ki tarah samandar me bulbule bharti lahre
daudte huye aati aur saahil pe marti lahre
kya pata ke samandar me bikhri bhi kuch khwahish ho
aur raat me udte hue kuch khaab adhoore ho

dhoondha to bahut maine par aankhein tanha hi rahi
dhoondha to dekha maine paani khud pyaasa hai

phir samjha - lahron pe mohre to thaharte nahin
aur is sard se kohre me chehre bhi nahin milte

tu bhi to kabhi yunhi meri raat ke peeche nikal
tab jaanoge yun tanha lautna kya hota hai

ek khayaal ko odhe huye main jo kabhi mil jaaoon
dekhna tere chat par bhi koi saanjh pada hoga

---------------------------------------------------
raat bhi lambi laage
teri judaaiyon me
jaan ka tukda jaaye re

Gulzar

No comments: