Saturday, August 18, 2007

Rishtey

Purza purza raat jale
ab har dar bas khaak mila
shab bhar jalte saaye phoonke
phir bhi sahar naapaak mila

ghar se chale kisi aur dagar
phir usi afsaane pe pair pada
chub gayi wo shaam khaali si
wahi beraham ittefaaq mila

dil lagaakar dil khud kahta hai
'kismat to bahaana umda hai
kismat kos chalo, jo dil na mile'
zaalim dil ye chaalaak mila

band kamre me sab mausam to
bin dastak, aate jaate hain
kal hari thi peepal ki baahein
ab dekha soona shaakh mila

ziddi dil, toota sa, seene me
tanha kabse pada hai phir bhi
khwahish ugaane lagta hai
jab bhi aankh se aankh mila

purza purza raat jale
ab har dar bas khaak mila
har shab jalte saaye phoonke
phir bhi sahar naapaak mila

No comments: