kaagazon me aahaton me naam dhoondhti hoon
raat phoonk phoonk-ke main shaam dhoondhti hoon
teri talaash me jam gaye hain saayen sadakon pe
khud raat ban gayi hoon, aaraam dhoondhti hoon
---------------------------------------------------------
sukoon sookha sa rahta hai
jaan simti si rahti hai
tu seene me jabse mere
patjhad sa chod gaya
thaki si roshni ab to
badi der se aati hai
udaas si subah jalti hai
sunn si hatheliyaan jalaati hai
pahron pehle hi ab
aasmaan shaam bulaata hai
saans dhundhli si uthti hai
pyaas chehre banaati hai
tere khayaal kohra bankar
aasmaan pe likhte hain
kab aake gaye kya pata
bas nishaan ab dikhte hain
khushfaham si khidkiyaan kabse
yun khuli sii chodi hain
sabaa sard subahon ki, khaali sii sili sii guzarti hain
aankhein rookhi si hain
aur neend jhadti rahti hai
ukhde se harfon pe
ab barf padti rahi hai
patjhad sa chod gaya
tu seene me jabse mere
awaazein toote se nikalte hain
aur lab chil jaate hain
sukoon sookha sa rahta hai
jaan simti si rahti hai
--------------------------------
kuch naram si muskaan tere
chod jaate hawaaon par
kaanpti raatein un par
senka karti main baithi yahaan
...................................................................................
An ode to a real cold winter whihc has just begun!
No comments:
Post a Comment