Maa,
aaj-kal rahne ko itne ghar ho gaye hain
ke main be-ghar sa ho gaya hoon
yaad hai mujhe
ik woh bachpan ka ghar tha
jahaan chimney se rah rahke eent baraste the
chat jab jab tapakta to
ham saare ghar ko
bartan se sajaate the
raaton ko jab bijli chali jaati
to tum koi puraani akhbaar se hawaa chalati thi
taaki ham jaag na jaaye
kabhi kabhi chuttiyon ke dopaharon me
ham ek rupaye - aath aane wali kulfi khareed-kar
ghante bhar uska mazaa lete the
aur itvaar ko
teenon
bistar pe lete lete
radio suna karte the
wahi radio jo baaki dinon
hamari ghadi ka kaam karta tha
kya tha woh
saat baje - 'paadi pantalu'
saade saat - 'vaartalu'
aath baje - 'archana'
aur phir - 'janaranjani'
bewaqt barsaatein hoti thi
to ham bhaagte the
woh kapde laane
jo chat pe sukhaaye the
deedee aur main har raat ladte
bistar ke daaye aur sone ke liye
tumhare paas
mahine me ek baar
ham palang ka 'navaar' theek karte
tumhe report dikhaane ke liye
ham donon kitna darr jaate the
----------------------------------------
sochta hoon -
is dafaa jab ghar aaoon , Maa,
har raste ka ek sira
tumhare edhi ko baandh-ke
lautoon!
Phir har shaam
jo bhi rasta pakdoon,
bas ghar pahunch jaaon
tumhare paas!!
2 comments:
pieee...i just cant wait to c mom's reaction after she reads it...nostalgia :)..omggg u r toh awsummmm....hugs n hugsss n hugsss n hugsssss.... >:D< >:D<
I first read this in 2009. Since then, have read it many times. There is something magical about this. Will like to know about you sometime.
Post a Comment