uljhi khayaalon ke kaayal teri kaafir nigaahen
galiyon me jaan phoonke musaafir nigaahen
.............................................
kitne shaharon me pahrein tatole hain tune
kya pata kitne koochon me kharchein lafz kitne
chand safhon ke badle saansein bas ek din ki
kitne chehre yun thahre batore hain tune
pata pooch-ke peecha karti hain kiska
wo mile jo thahar le muntazir nigaahen
....................................
kahaaniyaan yeh kaisi bichhake rakhi hain
kal ko khaali kiya, aaj phir bhar chala tu
kaale konon me khone chale, chod bhi de
nishaaniyaan kyun aise bachake rakhi hain
badgumaani bujhaa den zaraa kah de inhe tu
syaah kar den ye manzar musavvir nigaahen
No comments:
Post a Comment