Kabhi kabaar ae beqadar tu mere dar aata hai
Jab bhi aata hai kyun dil mera yun bhar aata hai
Ek arse se chupaya tha jise maine saari duniya se
Tumhe dekhkar har woh alfaz labon pe utar aata hai
Jab bhi aata hai kyun dil mera yun bhar aata hai
Aisa bhi nahin ke apni aaj yeh mulaqaat pehli hai
Aaj tu kyun kuch alag sa kuch apna sa nazar aata hai
Jab bhi aata hai kyun dil mera yun bhar aata hai
Tumhe na sochoon main ab, dil mujhse iltaja yeh kare
Koshishein kii hazaron; tera khayaal magar aata hai
Jab bhi aata hai kyun dil mera yun bhar aata hai
Bas ek main mareez nahin, mujhe itna yakeen hai
Ek junoon sa chod jaata hai jab bhi jidhar aata hai
Jab bhi aata hai kyun dil mera yun bhar aata hai
No comments:
Post a Comment