nazar hatake dekhenge to jahaan me silsile aur bhi hain
silsilon se shiqwa na kijiye,karne ko gile aur bhi hain
pinjre se muhabbat karne waale marzi se qaid ho jaate hain
aasmaan se rishtey banate nahin,udaan se gair ho jaate hain
udne ka armaan se ajnabi, ham jaise manchale aur bhi hai
silsilon se shiqwa na kijiye,karne ko gile aur bhi hain
aasmaan ko chode huye arsa hua, woh to bas naam hai
khokle manzilon ke peeche kitne parinde badnaam hain
aap akele nahin, yun aasmaan ko choone chale aur bhi hain
silsilon se shiqwa na kijiye,karne ko gile aur bhi hain
daayre mushkil se bharte hain, maayne badal jaate hain
khwahishen kya hai khuda jaane kaayde badal jaate hain
zindagi koi ik cheez nahin, yahaan pe faisle aur bhi hain
silsilon se shiqwa na kijiye,karne ko gile aur bhi hain
taras khaate hain, aur beemaar dil ko jaam de dete hain
pyaale me pyaas bharke use pyaar ka naam de dete hain
muhabbat ke maiqade me is qadar diljale aur bhi hain
silsilon se shiqwa na kijiye,karne ko gile aur bhi hain
shama phoonkne se andhera hain, andhere phoonkne se ujaala nahin
aap jis subah ka pata dhoondhte hain, nazdeek me woh ilaaka nahin
meelon me naape nahin jaate, benaam faasle aur bhi hain
silsilon se shiqwa na kijiye,karne ko gile aur bhi hain
No comments:
Post a Comment