Sunday, June 04, 2006

Koi aaya hi nahin

mere darwaaze tak aaj phir koi aaya hi nahin
tanhaiyon ke siwa kisine mujhe apnaaya hi nahin

roshni bhi mujhse khafa hai aaj kuch is qadar
hoon tanha yun; nazar me mere koi saaya bhi nahin
tanhaiyon ke siwa kisine mujhe apnaaya hi nahin

maut se utna khauff nahin jitna zindagi ka hai
in uljhi saanson ko jhelna mujhe kabhi aaya hi nahin
tanhaiyon ke siwa kisine mujhe apnaaya hi nahin

khud ko chod aaya main pichli ghadiyon me kahin
kuch yun khoya;phir khud ko dhoondh paaya hi nahin
mere darwaaze tak aaj phir koi aaya hi nahin

ek aahat ko tarasta hoon is khamosh aalam me baithe
sadiyaan guzre magar mujhe kisine bulaaya hi nahin
mere darwaaze tak aaj phir koi aaya hi nahin

3 comments:

Unknown said...

sannatei ke shor mein main khud se mili...bas thabi se tanhaai se mohabbat hui....

Anonymous said...

Nice colors. Keep up the good work. thnx!
»

robaroo... said...

kya baat hai yaar maine to darvaze ke bare me apke 1st post me likha or 2nd post me apne darvaze ke bare me likha badhiya hai.
tanhaiyon ko itne bhi pas na de mere yaar ki jo pas hain vo bhi dur nazar ane lage.
zindagi ko tanhaiyon se na ghir ne de ki roshini na dikh sake
andhere me jine ki na souch ki tu tanhiyion ke bich me hi na reh jaye
nikal in sab se tu kahin sab se bichad na jaye
dard dil me hai to kya hua , zakhm ek din bharta zaroor hai
aab aage kyalikhun samajh me nahi araha issi liye
bye bye