Poetry or something like that... The name says it all, this is plainly an attempt to take my heights of craziness into the lyrical domain. I have a rich imagination. That I think so is proof enough for that!! So, People! Come here to hear me say things you all know in words you cannot comprehend!
Saturday, May 30, 2009
main abdullaa
mujhko bhi bula lena
shaadi begaani hi sahin
main bhi abdullaa deewaana
---------------------
Dedicated to a stranger soul who came visiting town this week - he likes my blog apparently!! Thanks...! :) :) :)
andha kuaan
tera koocha bhi hota
ik andha kuaan
main
jitni baar
aawaaz diye jaati
jawaab
na milta na sahin
kam-z-kam
meri aawaaz ki goonj to laut aati
aarzoo meri
yun na dekho mujhe meri galti nahin
dil ke nakhre yeh sabhi ko to maloom hai
iske aage kisi ki bhi chalti nahin
ishq me aks mera bhi hairaan hai
shaql meri mujhi se milti julti nahin
raat dar pe mere der aayi bahut
ab jo aayi hai ghar se nikalti nahin
aazmaaye hai tarkieb har kism ke
uski neeyat nikammi phisalti nahin
main bhi kuch kam nahin jaake kah do use
baar baar main bhi marzi badalti nahin
---------------------------------
hoon deewani jiski woh kaayal kisi aur ka
sadiyon se ye kahaani badalti nahin
at 1:30 am in the night standing outside Takshila after a long day...
wierdness..!!
garmiyaan
maine khidhki se
aasmaan dekha to
yaad aaya
maine kabhi
nookele chaand se
tumhari qatl karne ki
saazish kii thi
yaad hai?!
aajkal
ek to tum
bade masroof rahte ho
aur chaand bhi
jaldi me rahta hai...
suno na...
is khwaish ka
kuch karo bhi...
is zaalim ne tabse
mera nabz
roke rakha hai
ab tum kabhi
fursat me
aake mar jaao
mere haathon;
yaa main hi mar jaaongi
baithe baithe
intezaar me
aaoge?
Thursday, May 28, 2009
Screw you!!
Go - find another place!!
Screw you!
Think I am just another face?
I know a gazillion ways (to)
Screw you!!
----------------------------------------------------
Take me up; Try me out
Believe me – if you don’t,
screw you!
On your knees, and say please
Then I guess, maybe I won’t
screw you!!
-----------------------------------------------------
A long day at work... and a trip into my archives!! :D :D :D
Arey baba... don't look so alarmed also!! :P :D :D
pareshaan
ye kiski shaql hai jo uthti hai utarti hai
baaraha kyun rah rahke ye pardon se guzarti hai
ye kaisa shaqs hai jo har pahar ka mehmaan hai
keh do - naa laute kabhi yaa aake thahar jaaye
Friday, May 22, 2009
main kuch samjhi nahin!!
kuch kuch purze guzre din ke
chehre kuch dhundhle hai jinke
farsh pe rakh diye gin ginke
khayaal banke laut aaye ho
pak jaate hain murjhaate hain
ud jaate hain muk jaate hain
kooche khaali kar jaate hain
ud ud-ke phir thak jaate hain
sawaal banke laut aaye ho
Tuesday, May 19, 2009
Ishq to kar jaani!!!
Ruk kyun gaye bajao!!!
ishq to kar jaa
ishq to kar jaa
ishq to kar jaa ni
jag chod de jogi,
chahe jag le daroga
ishq to kar jaa ni
ishq to kar jaa
ishq to kar jaa
ishq to kar jaa ni
ruk ruk ke thak gayi
aankhen. tu aake
inhe ab bhar jaa ni
--------------------------------------------
aa, aake aahen bhar le
rasta kyun ruka hua hai
dhakka de,aage kar le
seedha sa pul bandha hai
khaali hai, jhuka hua hai
tera dil bilkul andha hai
...........
tere raste rasmein hain
inme kyun uljha hai
aa, apne bana lenge
gurraake danste hain
zahreeli meri raahe
pairon me daalenge
raahen jo dans jaaye
ishq me phans jaa
tu bhi bas ab mar jaa ni
--------------------------------------------
mujhe tere dil me rahna hai
kiraaye me jaan bhi le le
bolo, tera kya kahna hai
kabse khaali khade hain
tere dil ke kamre akele
maile se ye pade hain
...............
goonge deewaron pe
tona yun phoonkoongi
mauseeqi mal doongi
rookhe nazaaron pe
nazrein yun phenkoongi
mausam badal doongi
mere dil ke shahar me
sabaa sa sahar sa
tu bhi aake thahar jaa ni
ishq to kar jaa
ishq to kar jaa
ishq to kar jaa ni
---------------------------------------------------------
Ajee... sunto ho...?!! :D :D :D
Monday, May 18, 2009
Oblique Sabbaticals
Some new ruse.
Some won't wait;
some can't refuse.
Lying in a tomb,
they call for a truce!
Same old news,
there ain't any use.
We want grain;
so does the weevil!
which of us, then,
is the greater evil?
We all shout war -
conscience and free will!!
And who'll draw the lines-
they will or we will!
Let us bored souls
now don new roles.
Why fence on the roads?!
Let's dance by the poles!
Whoever said - there ain't any
atheists in foxholes!
Blue balls and sore soles,
we still live by potholes!
----------------------------------
Indignation...!!
Saturday, May 16, 2009
udhde parde
tum na jaane
kis pahar me
atke hue ho
main
lamhe taan-taan-ke
lapet-ti rahti hoon
apne ungliyon pe
zindagi ke parde
udh-de jaa rahe hain
par pardon ke peeche
tum to nazar nahin aate
ab bahut hua
bata bhi do
tum
kis pahar me
atke hue ho?!
----------------------------------
Aa paas aa... :) :) :)
Thursday, May 14, 2009
someone is in the shadows!!
last I heard, he is the moon's muse!!
hiding in shadows on lazy afternoons,
he smiles and pouts while the world swoons!
should I wait for another fortnight
when the black moon wont follow twilight;
and make the most when it's my turn
before the next adorable moon's return?
nay, nay I know how to douse my lust
with just two whiffs of addictive star dust
I will sit, for him to come by my open windows
or maybe I will spend noons scouting shadows!!
---------------------------------------------------------------
I will sing to him, soniye love mera hit hit
and when he smirks and finds my words funny
I will tell him... kasmanu khaaye mar jaani mar jaani
:D :D :D :D
Tuesday, May 12, 2009
tark-e-muhabbat ka hamaara iraada to nahin hai
marg-e-aashiq yahaan ho bhi jaaye agar
tark-e-muhabbat ka hamaara iraada to nahin
ishq me jo bhi ho jitna bhi ho zyaada to nahin
tamasha-e-chasm-e-nam ke shaukeen zamaana
aankhein tar nahin hongi, khaab beghar nahin honge
ehteyaat dilwalon ki fitrat me hai kahaan
tu jaake kahin aur kar salaah-mashavra
dil-e-maftoon ko aaj to tu aazaad kar,
kaafir to nahin hai yeh kaafir to nahin hai
kar le koshish har chaurahe pe bana le kachahri
tu bane mera qaazi mujhe qubool nahin hai
ishq maqtuul tere haathon me ho bhi jaaye agar
marg-e-aashiq yahaan ho bhi jaaye agar
tark-e-muhabbat ka hamaara iraada to nahin
ishq me jo bhi ho jitna bhi ho zyaada to nahin
tajaruba-e-tohmat-e-aashiqui to aam hai
dil diya hai mujhe, khuda, tujhpe yeh ilzaam hai
mere haafiz mere haatim ae mere haatif-e-zaalim
dil diya hai mujhe to inhe tum maghz bhi dete
khush-mijaaj ho sab dekhna to tera hi kaam hai
dil diya hai mujhe, khuda, tujhpe yeh ilzaam hai
Phir bhi tark-e-muhabbat ka iraada to nahin
ishq me jo bhi ho jitna bhi ho zyaada to nahin
Monday, May 11, 2009
kuch to!!
jee lee
sadiyaan surkh geeli
tanha ladke jhagadke
yeh sadakein
woh sadakein
-----------------------------
jaldee
jaldee
khamoshi kyun mal dee
bejaan si hain galiyaan
ab chalaa aa
ae chhaliyaa
-----------------------------
bas rah le
ab rah le
yahaan subah se pahle
raat bhar saath mar jaa
phir ghar jaa
tu ghar jaa
-----------------------------
kuch to!
kuch bhi!!
kabhi to sachmuch bhi!
ho sake to sab kuch bhi!
par kuch to!
haan, kuch bhi!!
Khudaa sa ajnabi
woh jo mera haafiz hai
mera waaqif hai
main har roz utarta hoon sajde main
aur woh har roz guzarta hai mere kooche se
par na woh dekhta hai mujhe
na rukta hai mere dar pe
khudaa sa lagta hai woh ajnabi mera
woh jo mera haatif hai
mera qaatil hai
woh pahchaanta tak nahin hai mujhe
par har dafaa meri ibaadat ke jawaab me
muskaan chod jaata hai meri raahon me
raunaq chada jaata hai mere manzar pe
ab to darr sa lagta hai to
bas is baat ka-
koi mere ajnabi ko
mere naam-o-pata na bata de
Cryptic
I, hieroglyphics
he fancies the clouds
I love tomorrows
he lives on the shore
I live in my head
he always walks ahead
and yet stalks my bed
he is an algorithm
I am all smiles and sobs
he is a celebrity
I celebrate every other hour
he is so deep; I want to die
in a heap, I just lie
each time I see him fly
he sees me dead and then goes red
don't ask me why I live in
a city that never sleeps
a city with perennial hard-ons
seeking, out, the sky
but well, he just moved in
to live me in my head
I wish he leaves this metaphor
with me forever instead
Friday, May 08, 2009
Soliloquy souvenirs
a tiny corn cob
lazy traffic
impatient honks
a restless cuckoo
a potted plant
sit and see me
sip my soul
glass rectangles
creased reflections
wooden tables
colored uncertainty
guavas are pink
apples are green
sit and see me
sip my soul
Greasy noses
sweet mother of moses
cheques torn up
wet tissue papers
snacks and suspicion
smiling solos
sit and see me
sip my soul
lost I was
lost I am
fish! shoot!god!
fcuk! shit! damn!
superman! superman!
samosas and shiny floors
sit and see me
sip my soul
it's not a puzzle
just a mental tussle
crazy tug-o-war
they wait in a car
think me up
think it through
sip and savour me
suck my soul dry
--------------------------- ----
classic eccentricities!!! trademark me!!! :D :D :D
Tuesday, May 05, 2009
Phir se...
Aaj subah uthi to dekha
mere dareecho pe lage naarangi parde
udne ki koshish kar rahe the
khushi se
tum aaye the kya pichli raat?
ye itne khush kyun hain?
baraamde pe
darakhto ki shaakhon se guzarte dhoop ki cheente
rangoli bana rahi thi
khushi se
tum aaye the kya pichli raat?
nahin to ye itni khush kyun thi?
mere bistar pe itne silvatein bani hain
jaise jang chhidi ho yahaan pe
maine to karvat hi nahin lee thi
to phir ye bistar
aise muskuraake ishaare kyun kar raha hai
khushi se
sach bolo- tum aaye the na pichli raat?
varna ye itna khush kyun hai?
tum bade badmash ho!
har raat aise hi aate ho
bina aahat kiye
nange paanv
range paanv
aur saare ghar me kahaaniyaan chod jaate ho
aur main
har subah sochti rahti hoon
tum aaye the kya pichli raat
kal bhi aise hi aaye hoge
kitni baar bola hai
jab bhi aao
utha diya karo
par tum na!!
meri ek nahin sunte
jaao
main tumse baat nahin karti!
Sunday, May 03, 2009
My whim! My wish!!
I am not going down that street
I heard there are stalls,
where soothsayers hard sell sobriety!!
Oh yes, they are the ones
who sought a stay order-
because they did not like
that the sky stalked them.
Boo, Boo, Boo!!
Let 'em bray! Let 'em bleat!!
I am not going down that street!
Bloody sure, not going down their street!!
Screw their sobriety,
I so wanna be drunk!!
GO tell them I warned them-
they will soon close shop.
I want to hoist my obsession
on my rainbow roof top!!
How dare they ask me
to hide it in my trunk?!
Screw their sobriety,
I so wanna be drunk!!
---------------------------------------
Did I hear you say something about me? I concur!!
But then, Hon', when was I not?
dard bhari gamgeen si in aankhon ko
sard-o-nam-o-namkeen si in aankhon ke
dard bhari gamgeen si in aankhon se
yeh rasm-o-naam-o-kaaydo me gumshuda se maayne
aankhon me tahriir kiske dhoodhte hain aaine
yeh shahar kyun hai gumnaam rishton ka ek baazaar sa
har pahar khamoshiyon ka karobaar sa bezaar sa
ab bahut hua, band kar dukaan, aaj to kuch bol de
aahaton ki aad me ud, aasmaan ko tol de
ab har dareeche ke peeche, sanjeeda si ranjishein
posheeda si koshishein, khwabeedaa si khwahishein
barf ke teelon me kyun behis bani hain hasratein
chod de, mat kheech tu ab nazron pe yun sarhadein
khol de dar, aaj har bedam nazaara ghol de
narm-o-naazuk khwaabon ko ab ek khula mahaul de
sard-o-nam-o-namkeen si in aankhon ke
lab khol de
aawaaz de
dard bhari gamgeen si in aankhon ko