Aaj subah uthi to dekha
mere dareecho pe lage naarangi parde
udne ki koshish kar rahe the
khushi se
tum aaye the kya pichli raat?
ye itne khush kyun hain?
baraamde pe
darakhto ki shaakhon se guzarte dhoop ki cheente
rangoli bana rahi thi
khushi se
tum aaye the kya pichli raat?
nahin to ye itni khush kyun thi?
mere bistar pe itne silvatein bani hain
jaise jang chhidi ho yahaan pe
maine to karvat hi nahin lee thi
to phir ye bistar
aise muskuraake ishaare kyun kar raha hai
khushi se
sach bolo- tum aaye the na pichli raat?
varna ye itna khush kyun hai?
tum bade badmash ho!
har raat aise hi aate ho
bina aahat kiye
nange paanv
range paanv
aur saare ghar me kahaaniyaan chod jaate ho
aur main
har subah sochti rahti hoon
tum aaye the kya pichli raat
kal bhi aise hi aaye hoge
kitni baar bola hai
jab bhi aao
utha diya karo
par tum na!!
meri ek nahin sunte
jaao
main tumse baat nahin karti!
3 comments:
dude..i really dont praise poetry just like that...but sometimes..u write phenomenal poetry..keep going man..u ought to publish..
--Devang
Waah waah...
Actually phenomenal... wonderful dear... :)
mashallah...kya nazakat thi :):):) sweettttt
par hum zaroor jaanna chahenge..woh aye they kya..? ;)
pie tat was really a sweet one :)
Post a Comment