ishq maqtuul yahaan aaj ho bhi jaaye agar
marg-e-aashiq yahaan ho bhi jaaye agar
tark-e-muhabbat ka hamaara iraada to nahin
ishq me jo bhi ho jitna bhi ho zyaada to nahin
tamasha-e-chasm-e-nam ke shaukeen zamaana
aankhein tar nahin hongi, khaab beghar nahin honge
ehteyaat dilwalon ki fitrat me hai kahaan
tu jaake kahin aur kar salaah-mashavra
dil-e-maftoon ko aaj to tu aazaad kar,
kaafir to nahin hai yeh kaafir to nahin hai
kar le koshish har chaurahe pe bana le kachahri
tu bane mera qaazi mujhe qubool nahin hai
ishq maqtuul tere haathon me ho bhi jaaye agar
marg-e-aashiq yahaan ho bhi jaaye agar
tark-e-muhabbat ka hamaara iraada to nahin
ishq me jo bhi ho jitna bhi ho zyaada to nahin
tajaruba-e-tohmat-e-aashiqui to aam hai
dil diya hai mujhe, khuda, tujhpe yeh ilzaam hai
mere haafiz mere haatim ae mere haatif-e-zaalim
dil diya hai mujhe to inhe tum maghz bhi dete
khush-mijaaj ho sab dekhna to tera hi kaam hai
dil diya hai mujhe, khuda, tujhpe yeh ilzaam hai
Phir bhi tark-e-muhabbat ka iraada to nahin
ishq me jo bhi ho jitna bhi ho zyaada to nahin
No comments:
Post a Comment