Sunday, May 03, 2009

sard-o-nam-o-namkeen si in aankhon ke
par khol de
dard bhari gamgeen si in aankhon ko
parwaaz de

sard-o-nam-o-namkeen si in aankhon ke
lab khol de
dard bhari gamgeen si in aankhon se
aawaaz de



yeh rasm-o-naam-o-kaaydo me gumshuda se maayne
aankhon me tahriir kiske dhoodhte hain aaine

yeh shahar kyun hai gumnaam rishton ka ek baazaar sa
har pahar khamoshiyon ka karobaar sa bezaar sa

ab bahut hua, band kar dukaan, aaj to kuch bol de
aahaton ki aad me ud, aasmaan ko tol de



ab har dareeche ke peeche, sanjeeda si ranjishein
posheeda si koshishein, khwabeedaa si khwahishein

barf ke teelon me kyun behis bani hain hasratein
chod de, mat kheech tu ab nazron pe yun sarhadein

khol de dar, aaj har bedam nazaara ghol de
narm-o-naazuk khwaabon ko ab ek khula mahaul de



sard-o-nam-o-namkeen si in aankhon ke
lab khol de
dard bhari gamgeen si in aankhon se
aawaaz de
sard-o-nam-o-namkeen si in aankhon ke
par khol de
dard bhari gamgeen si in aankhon ko
parwaaz de

No comments: