Monday, May 11, 2009

Khudaa sa ajnabi

ajnabi sa lagta hai woh khudaa mera
woh jo mera haafiz hai
mera waaqif hai
main har roz utarta hoon sajde main
aur woh har roz guzarta hai mere kooche se
par na woh dekhta hai mujhe
na rukta hai mere dar pe

khudaa sa lagta hai woh ajnabi mera
woh jo mera haatif hai
mera qaatil hai
woh pahchaanta tak nahin hai mujhe
par har dafaa meri ibaadat ke jawaab me
muskaan chod jaata hai meri raahon me
raunaq chada jaata hai mere manzar pe

ab to darr sa lagta hai to
bas is baat ka-
koi mere ajnabi ko
mere naam-o-pata na bata de

1 comment:

Almost Famous said...

sharmili rangrangili huh..lolz...

tats a nice piece..made me smile :)...

"Main hoon na"..main dedungi tumhara naam-o-paata...uss khudaa se ajnabi ko...;)