a.
teri aahaton ki aad me chehra aata nahin nazar
shaayad mere aaine ki tarajuma sahin nahin
teri sohbat ke sukoon ke badle sood me meri yeh jaan
yun maangna ae mere meherbaan sahin nahin
sadakon pe subah ki shaql surkh si hai aaj bhi
naqsh-o-rasm wahin hai par tajariba wahin nahin
muskurake de diya hamne apni sabz ye zameen
badle me de gaye ho tum khaali aasmaan. sahin nahin
---------------------------------------------------
b.
raah phir wahin chale par kaayde alag se hain
baat phir wahin chale par maayne alag se hain
raat khatm kar doon ab; yeh baat khatm kar doon ab
apne dil ke purzon ki poori zaat khatm kar doon ab
---------------------------------------------------
c.
neend dhoondh-ne chale to phir subah milti hai kyun?
kisi aad me aap hi ki baat har jagah milti hai kyun?
jitne dafaa kii koshishein ke apna dil bujha hi de
phir se dil jalaane ki hame vajah milti hai kyun?
------------------------------------------------------
mediocrity has a new home; and I am not going to evict it anytime soon!!!
No comments:
Post a Comment