Last evening, I was sitting at the window listening to saiyyan by kailash kher staring at the rainy outdoors. And it hit me, like it does sometimes!! I have tried defying the cycle; but admit I have failed!! Sometimes I wish I could talk of that 'awfulness' inside when I feel it as easily as I talk of 'awesomeness'; maybe with time!!
------------------------------------------------------
jabse tum gaye ho
mulaqaat hoti rahti hai tumse
shab-o-roz
kahne ko sab badal gaya hai
dekhne ko kuch nahin badla
ham roo ba roo baithe rahte hai
guftagoo sahte rahte hain
kahin kahin pehle se manzar bhi mil jaate hai
aur main raat ke ek-aadh pahar
guzaar leti hoon us puraane mausam me
aur subah naashte ke saath saath
koi note chod jaata hai
mujhe yaad dilaane ke liye
main to bas
ek raat ki mehmaan thi
jabse tum gaye ho
main thak gayi hoon
daakiye ko batate huye ke
tum ab yahaan nahin rahte
jab tum paas the
tab maine apne chaukhat pe
tumhare naam ki muskaan taangi thi
apni daastaan ki numaish karte hue
ab yeh pheeki muskaan mere haathon utarti nahin
aur aate jaate musafir
khat chod jate hai dar pe mere
mubaarak-baat dete hue
ab main inhe kaise bataoon-
tumhari zindagi me
main to bas
ek raat ki mehmaan thi
jabse tum gaye ho
saanjh aake jhaankti hai
haan, maine tumhe tohfe me dene ke liye
baadalon me lipti hui bahut si shaamein mangaayi thi
tumhe barsaatein behad pasand hai, na?!
ab yeh har roz aake poochti hain
"woh hain?"
aur main bas khamosh si barasti rahti hoon
unke sang dareeche pe baithe baithe
aur raat ko
tumhari shaql tahalti rahti hai
aankhon me
subah ko rukne ko kahoon
to kahti hai-
"main to bas
ek raat ki mehmaan thi"
jabse tum gaye ho
tumhari yaadon ke safhe udte nahin
bas seene me pade-pade peele pad rahe hai
tum gaur karte kabhi to
dekhte
maine bhi koshish kii thi
ke tumhare jahaan me apne thode nishaan chod doon
shaam ke benaam rasmon me
roz ke betaab paigaamon me
lafzon ke besabr tohfon me
ab farq to nahin padta
par ek sawaal bedaar sa baitha hai seene me
kya
meri yaadein
kam-z-kam
ek raat ki mehmaan thi?!
No comments:
Post a Comment